Mobile ko Unroot Karne ka Tarika

Aaj iss post me janenge ki rppt kiya hua yaa rooted mobile ko unroot kaise kare. Aap sirf one click me kisi bhi rooted android phone ko unroot kar sakte hai. Kai bar hum apne phone ko root kar dete hai lekin baad me unroon karna chahte hai. Agar Phone ko unroot karna hai to liye play store se SuperSu naam ka app download kar lijiye. SuperSu app android ke liye most popular root management app hai. Agar aap kisi rooted android phone ko chala rahe hai to bahut high possibility hai ki shayd aap iss application ka use kar rahe honge. kyoki SuperSu app rooted device ko manage karne ke liye bahut famous & best app hai. isase aap kisi root device ko unroot bhi kar sakte hai. 



How to Unroot My Phone?

Mobile phone ko unroot karne ke liye niche diye steps ko follow kare. isase mobile ko unroot karna bahut aasan hai. sirf 1 click me apne phone ko unroot kar sakte hai. Mobile ko Unroot Kaise Kare iske liye best app or steps ki jankari niche diya gya hai.



Rooted Mobile ko Unroot Kaise Kare?

Step.1- Play store se 'SuperSU app' ko download kare. 
superSU mobile app sabhi tarh ke android device ke liye compatible hai. matlab ki aap kisi bhi version ke android device me iska use kar saakte hai.



Mobile ko Unroot Kaise Kare

Step.2- App ko open/launch karne ke baad setting me jaye.

Step.3- 'Full Unroot' (cleanup for permanet unroot) par click karen. 

Step.4-  'Full unroot' par click karne ke baad confirm karne ke liye bolega. aap continue par click kare.

Step.5- Successfully unroot hone ke baad app apne aap band ho jayega.

Step.6- apne mobile phone ko Unroot karne ke baad restart karen.

Step.7- finally SuperSu ko apne mobile se uninstaal kar dijiye. Apka phone puri tarh se unroot ho chuka hoga.



yeh kisi bhi rooted android phone ko unroot karne ke liye sabse best aur aasan method hai. isase app sirf ek click me hi aasani se apne android device (smart phone, tablet etc) ko unroot kar sakte hai. 


Ab aapne sikh liya ki sirf ek click me kisi rooted mobile ko mobile ko unroot kaise kare. Android root/ unroot karne ke bahut se fayda or nuksan ho sakta hai. Phone ko root kaise kare or root karne ke nuksan kya hai, isko janane ke liye ye niche diye post padhe.


______________________________________________________



Android Mobile Root Karne Ke Best Root Apps

Android Mobile Root कैसे करें, Best Apps. Aaj iss post me android mobile ko root karne ke best apps ke bare me janenge. Hum sikhenge ki apna android mobile root kaise kare. Smart Phone root karne ki puri jankari diya jayega. Agar aap apne android mobile ko root karna chahte hai to iske liye kuchh best android apps ki help le sakte hai. jisase aap apne phone ko aasani se ek click me root kar sakte hai. iss samay android sabse jyada popular smart phone operating system hai. kyoki ham isame aasani se phone ke kisi feature ko customise kar sakte hai. Android device ke liye bahut se popular Apps, Custom ROM available hai. lekin uske liye aapka phone rooted hona chahiye.




# Android Mobile Root Karna Kya Hota Hai ?
Root ek aisa method hai jisase aap apne smart phone, tablet yaa kisi android device ko jaisa chahe waisa use kar sakte hai. phone ko root karne ke bahut se tarike hai. mai aapko ek aisa method bataunga jisase aap bina PC ka help liye sirf  1 click apne phone ko root kar sakte hai. isase pehale jaan lete hai ki rooted phone ka kya fayda hai.




Android Rooting
Android Mobile Root Kaise Karen


# Android Mobile Root karne ke Fayde- 
Android phone ko root kairne ke kya fayde hai. Chaliye iske bare me jaan lete hai.


1. Root Apps- 
rooting ke baad apne phone me aap un special app ko chala sakte hai. jo sirf rooted mobile ke liye hote hai.  

2. Free Internal Storage- 
hamare phone me pehale se nstall hote hai.  jisko ham hata nhi paate. lekin rooted phone me easily aap unn apps ko uninstall kar sakte hai. inbuilt apps ko delete/ remove karne se apne phone memory ko free kar sakte hai. agar aap system ke default apps ko delete nhi karna chahte to aap unko SD card me save kar sakte hai. jisase aapke phone ki kuchh internal memory free ho jayegi.



3. Custom ROM- 
yeh roted phone ka bahut hi powerful feature hai. isase aap apne phone ko jaise chahe waise optimize kar sakte hai.



4. OS Updates- 
phone ko root karne ke baad apne phone me android ke different latest version ko install kar sakte hai. isase aap apne device ko fast update kar payenge.

Rooted phone ki battery life bhi kafi achhi ho jaati hai. isake alaawa aur bahut se fayde hai. to ab chaliye sikh lete hai ki kisi android device kaise root kare.





# Android Phone ko Root Kaise Kare- Without PC



Steps

Step.1. Sabse pahle apne mobile phone me 'KingRoot' app ko download kar lijiye.


Step.2 . KingRoot App ko install karne ke baad open kare

Step.3. aapko 'Root' ka option dikhega. uss par click karen.

Step.4. Root option par click karte hi aapke phone ki Rooting Shuru ho jayegi.Thode samay tak wait kare. Process pura hone ke baad aapka mobile root ho chuka hoga.

Step. 5. yeh janane ke liye ki aapka mobile successfully root hua ya nhi , apne mobile phone me Root Checker App install kar lijie.




# फ़ोन rooted है या नही कैसे जाने ?

Agar janana chahte hai Ki aapka phone Rooted hai Ya nahi to iske liye 'Root CheckerApp se pata kar sakte hai.



Some Other Apps to Root Android Mobile

* Kingo root

* iRoot




इसे भी पढ़े-




# Disadvantages Of Rooting Android Phone. फ़ोन को रूट करने के नुकसान.

1. phone dead ho sakta hai-
 agar aapne rooting ke samay thodi si bhi galti ki to aapka phone permanantly dead ho sakta hai. lekin iski possibility sirf 2% - 3 % hota hai.



2. Phone’s Warranty.- Root karna se aapke phone ki warranty khatm ho jati hai.






Ab aapne jana ki android mobile ko Root kaise karen or root karne ka best app kaun sa hai. Mobile root karne se kya fayda aur kya nuksaan hai. Agar android phone rooting se related koi sawaal ho to niche comment karke puchh sakte hai.



Tags- android mobile root kaise kare, root karne ka tarika, root kya hai.
Rooted Mobile ko Unroot Kaise Kare (1 Click Me) Rooted Mobile ko Unroot Kaise Kare (1 Click Me) Reviewed by VK Singh on June 29, 2020 Rating: 5
Powered by Blogger.