Sabse Accha Antivirus Apps [Hindi]

Iss post me android mobile ke best antivirus apps ke bare me jankari milegi, jinko apne mobile me use karke virus se protect kar sakte hai. kai smart phone user janana chahe hai ki sabse acha antivirus konsa hai. Agar aap android mobile user hai to aapko apne phone me antivirus app jaroor install kar lena chahiye. Sabse accha antivirus application aapke phone ko virus se protect karta hai. Virus aapke mobile ke data, files ko corrupt, delete kar sakte hai. 

Android mobile or uske data ki security ke liye antivirus software/ application ka hona bahut jaruri hai. Maximum android user aapna jyadatar official or personal kaam apne mobile phone se hi kar lete hai. Jab hum online koi file download karte hai yaa kisi website par visit karte hai to humare phone me virus enter kar sakte hai. Aise me khud ko online protect karne ke liye antivirus app ka use kare.




Sabse achha antivirus konsa hai: Antivirus Apps


1). Bitdefender mobile security-

Sabse Achha Antivirus app


'Bitdefender' sabse jyada download kiya jane waala antivirus hai. Yeh malware scanner, web security, antithief feature, privacy adviser jaise feature provide karta hai.

 Bitdefender kisi bhi download apps ko automatically scan kar leta hai. yeh inn sabhi feature ke karan sabse Best antivirus hai. 







2). Kaspersky Antivirus-
'Kaspersky' me WebProtection ke alaawa anti theft protection, privacy protection, virus scanner, malware protection jaise kuchh bahut important features hai. 

yeh PC aur android mobile phone dono ke liye kafi famous aur most trusted antivirus software hai.








3). AVG Antivirus-

AVG SECURITY

AVG bhi desktop aur mobile dono ke liye bahujyada popular antivirus software/ application hai. AVG me antitheft, web protection, sms acanning jaise feature bhi hai. 

android mobile gayab ho jaane par aap Google map se apne phone ke location ko aasani se  pata kar sakte hai. isase apne khoye phone ko lock aur personal data bhi delete kar sakte hai.
AVG ko aap google play store se free me download kar sakte hai.







4).  Avast antivirus- Avast antivirus for android free download.
Avast,  PC aur smart phone dono ke liye bahut hi popular security tool hai. Avast sabhi devices ke liye better security deta hai. Android ke liye antivirus ke sath sath backup tool bhi provide karta hai.

yeh anti theft system, call and sms filtering, network monitoring jaise feature ke liye kafi jyada use kiya jana wala software/ application hai. Avast ke Free aur premium dono version available hai.





5). 360 Security
360 security bhi ek achha anti virus hai jisko aap cleaner or booster ke liye bhi use kar sakte hai.




6). Norton Mobile Security and Antivirus
Aapke phone ki complete security ke liye norton ek best antivirus app hai.


Ab aapne sabse accha antivirus ke bare me jaan liya. Android phone ke liye free aur sabse achha antivirus konsa se hai. (List of
best antivirus app for android phone). Agar aapka koi question ho to niche comment karke puchh sakte hai.




Tags: sabse acha antivirus konsa hai, samsung mobile antivirus.
Mobile ke Sabse Achha Antivirus apps (6 Best Antivirus) Mobile ke Sabse Achha Antivirus apps (6 Best Antivirus) Reviewed by VK Singh on March 21, 2020 Rating: 5
Powered by Blogger.