Gmail Password Kaise Pata Kare?

Iss post me sikhenge ki agar apne gmail ka password bhool gaye to kya kare. Gmail, ek google ki free service hai, jiska use email send or receive karne ke liye kiya jata hai. Jab kabhi hum apna gmail (google) account ka password bhool jate hai or usko open nhi kar pate hai. Aisi situation me aap asani se apna gmail password reset kar sakte hai. Password bhul jane par bahut se log janana chahte hai ke mere gmail password kya hai. Iss post ke help se aap janenge ki apna email password kaise pata kare. New gmail password create karne ke liye aapko niche diye kuchh simple steps follow krna hoga. 



Gmail Password Bhool Gaye to Kya Kare?

1. Sabse pahle aap gmail account Sign in page par jaye. Apna email address enter karna hai aur next button par click kijiye. 


2. Ab password enter karne ke liye bolega. 'Forgot password?' par click kare.


Gmail Password Bhool Gaye To Kya Kare
Gmail Password Bhool Gaye to Kya Kare

3.Agar aapko apna koi last password yaad ho to enter kare. Isase aap ap fir new password set kar sakte hai.


4.Agar aapko apna koi last passwoord yaad nhi hai to "Try a another way" ke link par click kare.



Mobile number verification code

5. Iske liye aapke pas wo mobile number hona chahiye jise aapne apne gmail account create karte samay use kiya tha. Yahan aapko uss number ka last digit dikhayi dega. 

Agar aapke paas gmail account se registered mobile number hai to aap 'Send text message'  ya ' Get a call link par click kijiye.

Aapke mobile number par ek verification code aayega. aap uss code ko enter kijiye.  Aur change password option par click karke apna password change kar sakte hai.


6.Agar aapke paas gmail se juda mobile number nhi hai to  “ I don't have my phone” link par click kare.





आपने अपना अकाउंट कब बनाया था? (Month / Year)

7. Apna gmail account kab banaya tha. month aur year select kare aur next button par click kare. (When did you created this google account)
Gmail password kaise pata kare
 8.Agar aapko yaad nhi hai ki aapne kab apna gmail acoount create kiya tha to aap fir se ‘Try another way' par click kare.




Email Verification Code 

9. Ab recovery email ka option aayega. agar aapne apna gmail account banate samay koi recovery email ka use kiya tha,
uska option aapko milega. 'Send' button par click kijiye. aapke recovery email par ek verification code aayega.

aur aap usase apne gmail account ka password reset kar sakte hai.


Password bhul gaya


Agar isase bhi aapka gmail account ka password reset nhi ho pata to fir se 'Try another way' link par click kijiye.



Other Email Address-

10. Agar aapne apne gmail aacount me koi bhi dusara email account add kiya hai to yahan par aapko uska option aayega. 

Aap us email id ko enter kijiye. aur aapke us email par ek code aayega. Uss code ko enter karke apne email account ke password reset kar swakte hai.


Iss tarh se aap apna gmail account ke password dubara reset kar sakte hai.




इसे भी पढ़े -




 Ab aapne seekh liya ki agar gmail account ka password bhool gaye to kya kare. aapko bs kuchh simple steps follow krna hai aur aap apna gmail account ko recover kar sakte hai. Agar aapka gmail password reset karne se related koi sawaal ho to neeche comment karke pooch sakte hai.


Tags: mere gmail password kya hai, gmail ka password bhul jaye to kya kare, email id password bhul gaye kya kare, gmail ka password kaise pata kare.
Gmail Password Bhool Gaye to Kya Kare Gmail Password Bhool Gaye to Kya Kare Reviewed by VK Singh on January 16, 2020 Rating: 5
Powered by Blogger.