Internet Download Speed Kaise Badhaye?

Kya aap janana chahte hai ki internet download speed kaise badhaye. Iss post me aapko bataya jayega ki apne android mobile ya computer par download speed kaise badhaye. Aap kuchh easy tricks se apne device (mobile phones/ laptop or computer) par download speed asani se increase kar payenge. Iss post me aapko download speed badane ke kuchh upay bataye gaye hai. Inn tricks ko follow karne se mobile, computer or PC /laptop me download speed increase ho jayega. Jab hum internet se koi file download karte hai to download speed slow hone ke karan hume jyada samay lagta hai. Fast downloading speed ke liye hum 3g, 4g internet connection or wifi use karte hai lekin fir bhi net slow chalta hai. Mobile or computer me downloading speed increase karne ke liye kuchh aasan tarika ke bare me bataya ja rha hai.


 डाउनलोड स्पीड कैसे बढ़ाये
 डाउनलोड स्पीड कैसे बढ़ाये


Download Speed Kaise Badhaye?

Download speed increase karne ke aasan tarika ke bare me jankari. 
Internet se download speed kaise badhaye.

1). Background Running Apps/ Software को Disable करें.
Background me run kar rahe apps or software se bhi aapke device par download speed reduce ho jata hai. isliye agar aap download speed ko increase karna chahte hai to aap iss baat ka dhyaan rakhiye ki background me koi application or software nhi chal rha hona chahiye.

2). Internet Download Manager (IDM) का Use करें.
IDM se aap apne computer yaa laptop me download speed bahut jayada fast kar sakte hai. isliye agar aap apne device par download speed badhana chahte hai to internet download manager ek badhiya software hai. Internet download speed fast karne ke liye, aap ise try kar sakte hai.



3). Internet Connection को Upgrade करें.

Agar aapka internet connection slow hai to aapka device par download speed slow hoga. Net connection jitna achha hoga, utna hi achha download speed bhi hogi. Download speed badhayne ke liye apne intrernet connection speed ko upgrade kijiye. Fast download speed ke liye aapka internet connection bhi fast hona chahiye.



4). Antivirus का Use -

aapke device me virus, malware bhi download speed ko slow kar sakte hai. Isliye apne device me anti-virus application yaa software use karna ek better idea hai. Antivirus use karne se aapka device virus se safe rahega aur download speed bhi effected nhi hoga.


5). Update Browser-
Aapke device me browser update naa hone ke wajah se bhi internet download speed slow ho sakti hai. isliye latest version wale browser use kare. browser update karne se aapka internet speed increase ho jayega.


इसे भी पढ़ें:-
*Android Mobile se Laptop ko Control Kaise kare ?

*Android Mobile Software Update kaise kare?

*Mobile के Power Button से Call Receive या End कैसे करें ?


Ab aapne jaan liya ki apne mobile, computer or PC par download speed kaise badhaye. [How to Boost Your Download Speed], Agar aapka 'download speed badhane ke upay' se related kisi tarh ka koi sawaal ho to niche comment karke puchh sakte hai.

Tags: डाउनलोड स्पीड कैसे बढ़ाये, net slow chal raha hai kya kare,
Hindi me jankari.
Download Speed Kaise Badhaye (Online Download) Download Speed Kaise Badhaye (Online Download) Reviewed by VK Singh on February 26, 2020 Rating: 5
Powered by Blogger.