मोबाइल फॉर्मेट, रिसेट कैसे करें.

Iss post me janenge ki apna android mobile format kaise kare. aap apne kisi bhi android phone (e.g. Samsung, Lenovo, Huawei, Motorola Moto, Xiaomi etc)  ko bahut aasani se format or reset kar sakte hai. Factory data reset se apne phone ko format/ reset karna bahut aasan hota hai. apne mobile ko format karne ke liye aapko kisi tarh ke koi apps or software ki jarurat nhi padegi. Bs aap kuchh easy steps ko follow karke apne kisi android phone ko reset kar sakte hai. Isase aapka phone format (reset) ho jayega.

मोबाइल फॉर्मेट कैसे करें
मोबाइल फॉर्मेट कैसे करें


Phone Ke Data Ka Backup Kaise Banaye?

apne phone ko format karne se pahle apne phone ke data ka backup kar lena chahiye. jisase aap apne datas ko dubara restore kar sakte hai. 

ek mobile app " Download Super Backup & Restore" ka use karke bahut aasani se apne android phone ka backup le sakte hai. 



apne phone ka pura backup banane ke liye aap neeche diye post ko padh sakte hai. isase aap apne phone ka full backup (apps, contacts, sms, call logs etc) create kar sakte hai.

Read: 
*Android Phone का Full Backup कैसे लेते है? 


Mobile Format Kaise Kare (Mobile Reset Karna)

Android phone ko reset karne ke simple steps neeche diya ja rha hai. Reset karne se aapka mobile format ho jayega. aur aapke phone se sara data (contacts, apps, sms, call logs etc) bhi delete ho jayega. isliye apne important data ka backup lena na bhule.

Steps to Format Android Phone-

1). Sabse pahle apne android mobile ke setting me jaye.

2). Iske bad 'Backup and Reset' option ko select kijiye.


Android Mobile ko Format Kaise Kare?

3). fir 'Factory data reset' par click kare.


How to reset android phone?



4). Last me 'Reset Device' par click krke confirm kijiye.

5). Iske bad aapke phone me Reset /Format hone ka process start ho jayega. aur kuchh hi der me aapke phone ke sare data delete ho jayega. 

Reset hone ke bad aapka phone bilkul waisa ho jayega jaisa new phone buy karne par hota hai.


Note- Uper  jo steps or screenshot share kiya gya hai, wo samsung mobile phone ka hai. Kisi dusari company ke android phone me 'Factory data reset' (Format) ka option or setting alag ho sakta hai. Reset (format) karne ka ye option aapko apne phone ke 'Setting' me mil jata hai.


इसे भी पढ़े-
*Android Mobile में Apps Hide कैसे करें?

*Mobile के Power Button से Call Receive या End कैसे करें ?

*Android Mobile Phone की Speed कैसे बढ़ाये?


Ab aap jaan chuke hai ki apne android phone ko format kaise kare. aap apne mobile phone ko reset karke bahut aasani se format kar sakte hai.


Tags: Samsung mobile reset kaise kare, phone format kaise kare, मोबाइल फॉर्मेट कैसे करें इन हिंदी.
Android Mobile Format (Reset) Kaise Kare. Android Mobile Format (Reset) Kaise Kare. Reviewed by VK Singh on December 30, 2019 Rating: 5
Powered by Blogger.