Resume Kaise Banaye? [Hindi]

Kya aap janana chahate hai ki job ke liye phone me resume kaise banaye, or CV kaise banaye. Iss post me apne mobile se resume banane ka tarika ke bare me vistar janenge. Iske liye laptop ki bhi jarurat nhi padegi. resume banane ka pura kaam aapke mobile par hi ho jayega. jab bhi aap kisi job pane ke liye apply karte hai to aapse resume or CV submit karne ke liye bola jata hai. bina resume banaye koi bhi private job pana bahut mushkil hai. Agar aap kisi private company me job karna chahate hai to aapko apna resume banana padega. Graduation karne ke bad bahut se log job ki search me rahte hai. Aise me unko Jaldi se private company me job paane ke liye resume / CV bana lena chahiye. Kai log puchhate hai ki job paane ke liye kya kare. To aise sawaal ka yeh jawaab hai ki agar job (naukri) pana chahahte hai to sabse pahale apna resume banaye. Bahut se log internet par resume banane ki website search karte rahate hai. Lekin ab aapko pareshan  hone ki bilkul nhi hai. resume kaise banaye pdf, CV kaise banaye.

Agar aap kisi job ko apply karne ke liye apna resume, CV banana chahate hai, to ye post aapko best resume create karne me help karegi. Aap sirf kuchh simple steps ko follow karke apne job me apply karne ke liye mobile se resume bulid kar sakte hai.

In this post you will learn about how to build an impressive Resumes without experience. Now It's have been very essential to create a good resume, CVs in order to get an interview call.

Resume Kaise Banaye


रिज्यूम कैसे बनाये मोबाइल से (Job के लिए) Steps-

Mobile se CV / Resume kaise banaye. Job ke liye Resume banane ka tarika ki jankari step by step niche diya gya hai.

1. Sabse pahale play store se 'Resume Builder' App ko download kar lijiye.

2. Resume Builder app ko install karne ke baad usko open kare,
aur apna profile create kijiye. Aur Contact information Enter kare.


3. Academy:  Resume bulider app me apna Academic Details ko Enter krna hai.

Jaise- Course/ Degree, University/ college Name, Percentage/ CGPA, Graduated/ Pursuing, Graduation Year.


4.Work Experience: Apne saare academy details enter karne ke baad agar aapke paas kisi koi work experience hai, to uske bare me likhe. aur fir save button par click kare.


5. Project: Apne Project Details ke bare me likhe. Jaise- Project Title, Duration/ Time, Role, Team Size.

6. iske bad apne additional talents aur achievements se related details ko enter krna hai. fir use save kr lena hai.

7. Apne Career objective ke baare me likhe. yhan par bahut se career objective sample diye hai, aap unko browse kar sakte hai.

8. Iske bad Finally apna photo aur signature upload kare. Iske baad aap apna Resume/ CVs ko generate karke uska pdf file download kar sakte hai. 




How to Create Resume?
Resume builder CV maker templates PDF Formats app Resume/CVs banane ke liye yeh bhi ek achha appa hai. Iss aap ke help se bhi apna best Resume taiyar kar sakte hai.

Ab aapne seekh liya ki private job pane ke liye mobile se CV or resume kaise banaye. Aap online Free Resume Builder app ka use karke easily apne mobile se free me resume, CV Create kar sakte hai.


Tags: Resume kaise banaye pdf, resume banana, CV kaise banaye, रिज्यूम कैसे बनाये मोबाइल से, रिज्यूमे बनाने की वेबसाइट.
Resume Kaise Banaye (Mobile Se) Resume Kaise Banaye (Mobile Se) Reviewed by VK Singh on November 28, 2022 Rating: 5
Powered by Blogger.