Website Banane Ka Tarika Hindi Me [Hindi]

क्या आप जानना चाहते है फ्री में वेबसाइट कैसे बनाये। इस पोस्ट में आपको बिना पैसे खर्च किये फ्री में अपनी वेबसाइट बनाने का तरीका से जुड़ी पूरी जानकारी दी जाएगी। बहुत से लोग जानना चाहते है की अपना वेबसाइट कैसे बनाये क्योकि उनको कई बार अपने business/shop के लिए जरुरत महसूस होती हैं । क्या आप वेबसाइट (ब्लॉग) बनाकर ऑनलाइन पैसे कमाना चाहते है या दुसरो के साथ अपनी ज्ञान को शेयर करना चाहते है. अगर हाँ तो आज आप अपनी फ्री में अपनी वेबसाइट बनाने  की विधि के बारे में जानेंगे. इसके लिए आपको किसी भी Technical Knowledge की जरुरत नही पड़ेगी.  मैं आपको वेबसाइट बनाने का जो तरीका बताने वाला हूँ, उसी का इस्तेमाल करके मैं अपना ये वेबसाइट बनाया हूँ, जिस पर आप इस पोस्ट को पढ़ रहे हैं. और आप भी इसी  तरह का खुद का वेबसाइट बना सकते है.



वेबसाइट बनाने के फायदे-

Agar aap apna koi business suru karna chahte hai yaa aap online apni vichar (ideas) ko logo se share karna chahte hai to isake liye website ka hona bahut jaruri hai. aaj mai aapko website banane ka tarika hindi me bataunga. aap chahe to website banaker online ghar baithe paisa kama sakte hai. isake liye kisi bhi tarh ki koi technical knowledge ki jarurat nhi padegi. Aap sirf 5 minute me bahut aasani se sikh jayenge ki website kaise banaye.  aur aap apni khud ki website bana skenge. aap niche diye gaye website banane ka tarika hindi me follow karke apni website bana sakte hai.




Website Banane Ka Tarika Hindi Me.

Website kaise banaye yaa website banane ka tarika hindi me janane ke liye niche diye steps ko follow kijiye. 


Website Kaise Banaye? -Steps

1. Sabse pehale Blogger ki site par jaye. (www.blogger.com)

2.  Blogger ki site khulane ke bad  email id se  sign in kijiye

3. Ab ek nya page khul jayega. aur new blog par click kijiye

4. Ab iss tarh ka ek page khul jayega.


वेबसाइट बनाने का तरीका
वेबसाइट बनाने का तरीका


isame apko blog title (website kis bare me bana rahe hai usase related koi naam) aur  address ( website ka naam,  jaiseki- webkaise.blogspot.com) dale.


Apne website name ke bich se blogspot ko hatane ke liye 'custom domain' add karna hota hai jiski puri jankari iss post me neeche diya gya hhai.

5. Iske bad Create blog ki button par click kijiye. jaise hi aap create blog par click karenge to aapka website bankar taiyar ho jayega. 



Note- Abhi isme aap kuch aur setting karne ki jarurat hogi. apne website ko behatar look dene ke liye usme custom template add krna hota hai. aap apne blogger blog me custom template lagakar uske look ko bahut achha bana sakte hai. 



Ab aapne sikh liye ki website kaise banate hai (How to create blog/website) . website banane ke baad use kaise kare isko janane ke liye ye padhe-


Read: नए Blog पर Traffic कैसे लाएं?



________________________________________________




Blogger Blog Me Custom Domain Kaise Add Kare


Aap apna Blogger free me blog/website banane ka tarika ke bare me jaan chuke hai. Blogger ek aisa platform hai jisase hum apni free me website create kar sakte hai. Jo hum free me website banate hai uska name xyz.blogspot.com hota hai.  Ydi aap apne website ke name se blogspot hatana chahte hai to apko ek custom domain ko jodana padta hai. 


Custom domain add karne ke bad apka website ka nam www.xyz.com ho jayega. apko sabse pahle ek domain name kharidana hota hai. yeh janane ke liye domain name kaise kharidate yeha click kare.


website kaise banaye



Domain ko blogger me kaise jode- Steps


1. Blogger me login karne ke bad setting me jaye. fir basic par click kare.


2. Ab apko 'set up third-party URL for your blog' par click kijiye.


3. ab apko third-party domain setting ke niche bane box me apna domain name dalna hai jisko ap apni blogger se jodana chahte hai. box me domain name ke pahle www jarur lagaye.


4. Niche ap dekhenge ki www aur uske thik samne ghs.google.com likha hua hai. aur www ke thik niche ek code likha hua hai. esi tarah ghs.google.com ke niche bhi ek code likha hua hai. ye dono code godaddy account (ya kisi dusre account jaha se apne apna domain kharida hai) me dalana hoga.


5. jaha se apne domain name kharida hai wha par ap apne account me login kare. mai apko yeha godaddy.com se bataunga.


aage badne se pahle ap apne email account me login kijiye. godaddy se domain purchage karne ke baad apko ek email aya hoga.

 uss email ko kholkar email me diye hue link par click karke apne account ko verify/confirm karna hoga.  jb aap successfully verify/confirm kar le to ap apne godaddy account par aa jaye.


Note- agar verification link nhi aaya hai. to chinta naa kare. sidhe godaddy ke account me jaker niche ke steps ko follow kare.


6. Aap dekhenge ki dahine side uper kone me apka nam likha hoga . ap apne us  nam par click kro, fir manage my domain par click kre. 


7. ab apko apna domain dikhayi dega. us domain name par click kare.


8. DNS ZONE  FILE par click kijiye.

add record par click kare



9. ab ek popup window khulegi. usme


*  record type me CNAME(Alias) kare,

* host me www dale

*  points to me ghs.google.com daliye

*  TTL me 1 hour pada rhne de.




10. Iske baad ADD ANOTHER ki button par click kare


*Record type me CNAME(Alias) select kare

*Aapke blogger me 'www' ke niche jo code likha hua tha us code ko HOST me dalana hoga.



* blogger se ghs.google.com ke niche likhe hue code ko copy kijie fir use POINTS TO me paste kar dijiye.


*last me finish ki button par click kare.




11. ab apke popup message ayega usme save changes likha hoga. save changes par click kijiye



12. fir last me yeh dekh le ki dono code ( jo blogger me www aur ghs.google.com ke niche tha) sahi se add ho gaya ya nhi.

ap dekhenge ki pahle code ke samane dusara code likha hoga aur www ke samne ghs.google.com hoga.




13. ab wapas blogger ki setting me jaker save ki button par click kar dijiye.



Ab apka domain apke blogger add ho gya hai. lekin DNS setting ko update hone me lagabhag 24 ghante lag sakta hai.agar eske bad bhi apka domain name se apka website nahi khul rha chai to eska matlab apne kuchh galti ki hai. to ap godaddy ke account me jakar fir se check kar lijiye.



Iss tarh se custom domain apke blogger blog me set ho chuki hai lekin jab aap domain ke pahle www. lagayenge ( www.xyz.com) tabhi apki website google me search ho payegi.




______________________________________________________




Website Me www. Ke Bina Domain Ko Kaise Set Kare

Ab seekh chuke hai ki blogger blog ya website kaise banaye aur usme custom domain kaise add kiya jata hai. Custom domain ko blog me add karne ke bad  usko google me search karne ke liye domain name ke aage www lagana padega. www ka use kiye bina ham apne domain ko google me nhi search kar payenge. 

blog me domain add karne ke bad aapko ek aur kaam karna padega.
jo mai aapko niche batane ja reha hu.




Steps to follow
1. aap apne domain ko jis site (jaise godaddy, namecheap etc) se register kiye hai uske apne account me login kijiye. mai apko yeha godaddy.com ka example lunga. lekin baki dusari companies ke domains ke liye bhi lagbhag steps same rahega.



2. DNS ZONE FILE par click kare. iske bad fir add record par click kijiye. ek popup page khul jaega.




3. (a)
* RECORD TYPE me A(Host) select kijiye.

* HOST me @ daliye.


*POINTS TO me 216.239.32.21 dal de.

* fir  ADD ANOTHER ki button par click kijiye.




(b)

* fir apko pehle jaisa hi  RECORD TYPE me A(Host) aur host me @ dalna hai.

* lekin is bar points to me 216.239.34.21 dalna hai.




(c)

* fir ap add another ki button par click kijiye.

* record type me A(host), 


* HOST me @

* aur POINTS TO me 216.239.36.21 dalna hai.

* iske bad   add another par click karde.




(d)

 *is bar bhi pahle ki tarh  record type me A(host),

*HOST me @ . 

*lekin POINTS TO me 216.239.38.21 dalna hai.

*fir  FINISH ki button par click kar de.

  


in charo codes ko google IP  kaha jata hai.
(1)  216.239.32.21 , (2)  216.239.34.21 , (3)  216.239.36.21

(4) 216.239.38.21

last wala google ip dalkar finish ke button par click karne ke bad apke pc screen par ek red color me ek message ayega us par likhe huye save changes par click kar de.


4. fir ap blogger par apna blog khol kar setting me jao. 
 redirect  webkaise.com ko www.webkaise.com ko tik karke save ki button par click kare. 

yaha webkaise likhkar mai aapko samjha rha hu. webkaise ki jagah aapke domain ka naam likha rahega.


Ab apka pura kam ho gya hai. likin abhi apne jo setting kiya hai usko update hone me 24 ghante tak ka samaya lg sakta hai. setting update hone ke bad ap apne website ko jaise chahe waise khol skte hai. mtlab ki www ke sath aur www ke bina bhi.





Iss post me aapne seekha blogger par blog or website kaise banaye. blog me cusotm domain kaise add kare, www ke bina blog ko set kaise kare. Mujhe ummid yeh jankari (website banane ka tarika hindi) aapke liye useful hoga.



Tags: वेबसाइट बनाने का तरीका, वेबसाइट बनाने की विधि।
वेबसाइट बनाने का तरीका (सिर्फ 10 मिनट में) वेबसाइट बनाने का तरीका (सिर्फ 10 मिनट में) Reviewed by VK Singh on June 29, 2020 Rating: 5
Powered by Blogger.