Skype क्या है, Skype Account कैसे बनाये?
Iss post me janenge ki skype kya hai or skype id kaise banaye. skype ka use computer, mobile tablet me video chat or video call, voice calling ke liye hota hai. Isame aapko instant messaging services ka bhi option milta hai. Skype par video calling quality bahut achhi hoti hai. Skype use karne ke liye sabse pehale aapko ek skype id banani hoti hai. Chaliye detail me jante hai ki skype kya hai or skype account kaise banaye.
Skype kya hai?
Skype ek computer software or application hai, isme internet connection ka upyog karke hum free me video call kar sakte hai. ap apne pc me skype software ko install karke desh videsh ke kisi bhi kone me video calling kar sakte hai. Skype ke kya fayde hai?
isake jariye aap pure world me kisi se bhi video call kar sakte hai. chat or message kar sakte hai. Skype 2003 me pehali bar launch hua tha. yeh pure duniya me bahut popular hai. har din lakho log iska istemaal karte hai.Agar aapke paas skype hai aur kisi dusare ke paas bhi skype hai to unhe free me call kar sakte hai. muft me phone call, video call, chat, text message, aur aap kisi file ko bhi share kar sakte hai. jyadatar log skype ka istemaal video call ke liye karte hai.
Agar ek baar skype par account bana liye to aap skype ko kahi se bhi nistemaal kar sakte hai. Account banane ke baad skype ko apne computer, smart phone , tablet ya internet tv kahi se bhi use kar sakte hai. skype istemaal karne ke liye achhe internet connection ki jarurat padti hai.
Skype Account kaise banaye?
Skype Account kaise banaye?
iske baad skype ka home page khul jayega.
2) sign up (ya, sign in) button par click kijiye.
(aap chahe to pehale skype download karke fir skype application se account create kar sakte hai.. lekin mai aapko pehale account banana bataunga aur skype ko download karna.)

iske baad create new account par click kare.
3) create new account par click karne par ek page khul jayega. usme aapko ek form bharna hai.
iske baad i agree-continue button par click kare.
4) ab aapka skype account bankar taiyar ho gya hai. lekin aapko apne computer par skype ko download karna padega.
Skype App Download -
5) iske baad skype ko apne computer par download karne ke liye get skype for windows button par click kare.
6) Skype download hone ke baad uske setup file par click kare. fir aap skype ko instaal kar lijiye. kuchh der intjaar kijiye skype instaal hone me thoda samaya lag sakta hai.
7) Skype instal hone ke baad sign in page khul jayega. usme aap chahe to apna skype name aaur possword dalkar sign in kar sakte hai.
8) sign in karne ke baad ek page khul jayega. weha par aap apna profile picture set kar sakte hai. fir continue button par click kare.
9). Iske baad aap apna speaker & microphone ko select kar sakte hai. agar aapke paas speaker, microphone nhi hai to fir skype thik se kaam nhi karega.
Isliye aap yeha apne microphone/ speaker ko skype se link kar dijiye. fir continue button par click kare.
10). Agar aap apne profile picture ko baad me set karna chahte hai to add later button par click kare.
11). Aapka account istemaal karne ke liye puri tarh se taiyar hai.
niche start using skype button par click kare. Ab aap skype me logged in hai.
kya aapko yeh post pasand aaya. agar haa, to isko share kijiye. aur agar aapka koi sawaal ho to niche comment karke puchh sakte hai.
Tags: Skype क्या है, Skype Account कैसे बनाये.
Skype क्या है, Skype Account कैसे बनाये?
Reviewed by VK Singh
on
February 13, 2020
Rating:
