How to Earn Money from Ebay? (Hindi)
Aaj iss post me janenge ki ebay se online paise kaise kamaye. Ebay ek international online shopping brand hai. jo pure duniya me online store aur auction bidding ke liye famous hai. Aap ebay par kisi unique samaan (jo samaan asaani se logo ko market me nhi mil sakta hai) ko bechkar achhe paise earn kar sakte hai.ebay auction bidding lakho doller kamane aur rato raat amir banane ka ek achha tarika hai.
Ebay Se Online Paise Kaise Kamaye
2 ways to sell on ebay- (2 tariko se bech sakte hai.)
1) bidding or auction system (Nilami karke) - isame aap kisi samaan ki koi ek minimum kimat rakhate hai. jaise ki aapne kisi samaan ki minimum price (e.g. $1) set kiya. aur boli lagane se uski kimat badh jayega. aur koi achhe paise (e.g. $1000) dekar aapse wo samaan kharid sakta hai.
iss duniya me aise bahut se log hai jinko agar aapki samaan pasand aa gayi to kitne bhi paise deker aapse kharid lenge.
2) fix price set karke- aapko jo samaan bechana hai uski ek fix kimat set kar sakte hai. aur jab koi interested buyer uss samaan ko kharidega to aapko uski keemat milegi.
Use Bidding Auction on ebay.com-
jyada fayda ke liye pehala tarika bidding or auction ka use kare. samaan ko ebay.com par sell kijiye.
waise aap ebay.in par bhi sell kar sakte hai lekin ebay.com se aapka samaan pure duniya me sell ho sakta hai.
aur dusare developed contry (jaise america, uk etc) ke log kafi rich aur shaukin hote hai. agar unko aapka samaan pasand aa gya to we boli lagaker high price par samaam kharid sakte hai.
agar koi unique chij ko bech rahe hai (jisko kahi aur milna muskil hai). uski aapko bahut achhi kimat milne ki possibility hai.
jin logo ko weh samaan pasand hogi. we uss par boli lagayenge.
STEP. 1-
Create Account
1. ebay.com par jaye. fir register par click kare.
3. uper ke form me email id, possword aur mobile number ki details bharne ke baad register par click kare.
fir continue ka option aayega. usspar click kare.
4. register karne ke baad email par verication message aayega. aur phone par bhi ek verification code aayega.
dono ko verify kar lijiye.
5. apne user name aur possword se login kar lijiye. iske baad aap ebay ke home page par aa jayenge.
Start Selling
ab aap yeha bahut saara saaman bech sakte hai. jo chij jitna antiques (unique) hoga uspar utne hi achhe boli lagane ki possibility hoga.
1. kuchh bhi bechane ke liye sell option par click kare.
2. Iske baad ek page khulega. usme apna address information daalna hai.

3. last me continue par click kare. ab ek dusra page khul jayega usme (niche ka screeshot dekhe). usme sell it myself par click kare.
4. ab agale page par browse catagories ke option pe click kare. niche photo me dekhe.
5. fir aap jis chij ko bechana chahate hai uski catagories ko select kare. iske baad continue par click kare.
# 1. Create a Discription Title - item ke liye koi title (naam) enter kijiye.
# 2. Add photo- photo uplaod kare.
# 3. Discribe the item you're selling- jis item ko aap sell karna chahte hai usasae related informatin daale. aap chahe to character family, Reccommended age, gender ko remove bhi kar sakte hai. iske liye uske saamne bane remove option par click kare.
#. 4- Write Details-
aapko uper bane box me item ka details daalna hai jaise uski size , weight, ya koi dusari specification etc.
(i.)Starauction bidding- iss par buyer boli laga sakta hai aur aap bahut jayada paisa kama sakte hai.
(ii.) Add buy now.- yeh fix price par sell karne ke liye hai. agar aap boli lagana chahte hai to iss option ko select mat kare.
(iii). Lasting For-
aap 3, 5 , 7 ya 10 din ke liye auction set kar sakte hai. yeh iss par depend karta hai ki aap kitna jaldi samaan bechahna chahte hai.
#5- Add paypal account email address- apna paypal account ka email address enter kare.
Yeh post pade -
* Paypal Account kya hota hai aur Paypal Account kaise banaye
See your Selling List-
aap apne account me jo bhi samaan bechane ke liye list kiye hai. usko dekhane ke liye ebay home page pe my ebay par jaye.fir selling par click kare.
Mujhe ummid hai ki aapko ye post ebay se online paise kaise kamaye. aap comment karke bataye ki aapko yeh jankari kaisi lagi. agar koi confusion ya sawaal ho to usko bhi puchhe.
ab aapne seekh liya ki ebay auction bidding se online paise kaise kamaye.
Ebay Se Online Paise Kaise Kamaye (Auction Bidding)
Reviewed by VK Singh
on
November 21, 2019
Rating:

Blog bahot accha tha. Sab khuch samaj aaya lekin Ek sawal hai. Account register karne ke liye kitni cost lagti hai
ReplyDeleteparas ji..account register bilkul free hai. iske koi paisa nhi lgta.
DeleteSamj me aaya lekin agar becha huwa saman vapas
ReplyDeleteAye ?
Vapas na aye eske li kya kren?
@ dipak...haa ye thoda risk hai. iske liye product ka bilkul sahi details likhe. agar aapne whi product send kiya hai jiska details aur image ko upload kiya tha, to product wapas nhi ayega. kyoki koi product tabhi wapas karega jab aap koi galat samaan send kar de.
DeleteYe kis currency m paisa melee ga or kaise Saaman ka daam likhna h
ReplyDelete@ Chand Khan...Price details me samaan ka kimat set karna hai...waise aapki earning dollar me hoti hai. lekin aapke apne desh ke currency me paypal account ke jariye paisa sidha aapke bank account me jama ho jayega.
Deletesir ebay par to paypal account nahi hi
ReplyDeletepaysa pay hi
paysa pay kya hi. eseke bare me detils hindi me plz.
ebay.com par paypal account ka option hai. lekin agar aap ebay india (ebay.in) par koi samaan sell karna chahte hai to aapko PaysaPay account banana hoga. paysapay ebay.in ka ek bahut hi safe payment service hai.
Deleteebay india par account banane ke baad aap iss link par jaker paysapay account ke liye register kar sakte hai- http://sellercentre.ebay.in/register-on-paisapay
Sir ji paisa pay me jab sell ki entry karo to last me check no. Puchta hai usme kya kare.
ReplyDelete@ Ravi...check no janane ke liye aapke paas bank ka check book hona chahiye. iske baad bank check ke niche aapko 3 tarh ke number dikhega. jo 3rd wala number hai whi check no. hota hai.
Deletesir ji eBay m prodect sell ho Jane k baad isko kese bhejenge?
ReplyDeleteshipping ki information dijye sir ji
courier yaa indian postal ke jariye product ko bhej sakte hai.
Deleteky iss pe ab 2nd hand saman mil ta hai
ReplyDeletemil sakta hai..lekin jyadatar samaan (99 %) new hote h.
DeleteSir ji.bika huwa saman ko bhejne ke liye address kaise hame milega.plz jankari dijiye
ReplyDeletejo aapka samaan kharidega wo aapko apna address dega.
DeleteSir ji.agar paypal ka account opan nahi hai to kya koi product listing nahi ho paye ga kya.kyu ki mai list kar raha hu list nahi ho raha hai.
ReplyDeleteproduct list karne ke liye aapke paas paypal account hona jaruri h...iske bina aap list nhi kar payenge.
DeleteBahot badhiya post likhi hai aapne. Is se eBay me bidding ke bare me logo ko pata lag sakta hai. India me E-commerce business bahot teji se badhne wala hai.
ReplyDelete