PDF फाइल में Password कैसे लगाएं? [Hindi]

Aaj aap sikhenge ki apne kisi bhi pdf me password kaise lagaye. Agar aap apni PDF file me password lagana chahte hai, ye post aapke liye useful hai.  pdf file me password lagana pahut aasan hota hai. Apne kisi bhi PDF ko dusaro se private rakhne ke liye PDF file ko password se lock kar sakte hain. Isase aapke pdf file ka koi misuse nahi kar payega. Aap kisi PDF  document me ek android app ki help se password set karke protect kar sakte hain. Apne personal PDF me password kaise lagaye, iske bare me vistar se jankari niche diya gya hai.



PDF me Password Kaise Lagaye (Lock pdf)

PDF File me Password लगाने का  आसान तरीका।

1. pdf me password lagane ke liye apne android mobile me play store se PDF Utils App ko download kar lijiye.


Download Link- PDF Utils


 2. PDF utiles app ko install karne ke baad open kijiye.


 3. Uske bad password protect option par click kijiye.


PDF me Password Kaise Lagaye.

4. Password protect option per click karne ke baad apne phone se uss PDF file ko select kijiye jisme password lagana chahte hain.



5. Aapko password lagane ke 2 options milte hai.  (1) Owner password (2) User password.


Lekin aapko sirf User Password set krna hai. aap koi bhi user password set kar lijiye. Aur apne paasword ko hamesha yad rakhen.



Note- Owner password set karne ki jarurat nhi hai. Agar aap sirf owner password set karte hai to dusare log aapke pdf ko dekh sakte hai. 

Agar aap chahte hai aap ka PDF file ko bina password ke koi bhi open Na kar paye to aapko 'User Password' set karna hoga.



6. Agar aap chahte hai ki koi dusra aapke pdf ko open na kar paye to aapko user password set karna hoga. 


'User Password' set karne se aapki PDF file ko open karne ke liye password ki jaroorat padegi.  Jiske Paas aapka user password hoga, sirf we hi aapke pdf file ko open kar payenge.



7. User password enter karne ke baad 'New File Name' ke option me koi bhi file name set kar lijiye. uske baad mein Ok par click kare



8. iske baad aapka  Password protected PDF file aapke document me save ho jayega. Jab aap pdf file ko open karne ki koshish Karenge to aapse password enter karne ke liye bolega.





Method 2-

How to Lock pdf with password?

Agar aap apne mobile me pdf me password lagane wala app install nhi karna chahte hai to iska ek dusra option bhi hai. Aap small pdf ke website se bhi apne pdf ko password protect kar sakte hai.



Bina password ke aap pdf file ko open nhi kar payenge. Aap apna user password enter karke apne pdf ko open kar Payenge .



Mujhe Umeed hai aapko  aapko ye jankari-pdf me password kaise -pasand aaya hoga.  Ab Apni Jaan liya ki apne kisi PDF file ko password se lock karke protect kar sakte hai. How to lock PDF file using password? 



Tags: pdf me password kaise dale, pdf password kaise banaye, how to lock a pdf.

PDF me Password Kaise Lagaye (Lock pdf) PDF me Password Kaise Lagaye (Lock pdf) Reviewed by VK Singh on November 04, 2022 Rating: 5
Powered by Blogger.