FB Account हमेशा के लिए  Delete कैसे करें?

Kya aap janana chahte hai ki apne laptop ya mobile se facebook account delete kaise kare, wo bhi hamesha ke liye (permanently). Iss post me aapko facebook account ko hamesha ke liye delete or deactivate karne ki jankari diya jayega. hum sabhi ko pta hota hai ki facebook account kaise chalate hai, lekin bahut se fb users ko ye nhi pta hota ki apna fb account delete kaise karte hai. Aap janenge ki apne fb account ko permanently kaise delete karne ka sabse aasan tarika kya hai. Iske alawa aap yeh bhi sikhenge ki facebook id ko temporarily delete ya block kaise kiya jata hai. Temporary delete karne ke baad aap facebook account ko dubara se recover bhi kar sakte hai. Lekin agar aap apne facebook account ko permanently delete kar diya to aap apna fb account hamesha ke liye kho denge. Permanent delete karne ke baad recover/restore karna possible nhi hota hai. 

Apna fb account delete karne ke bahut se reason ho sakte hai. Agar aap kisi bhi reason se apna facebook account disable ya delete karna chahte hai to iske liye aapko kuchh simple steps follow karne ki jarurat hai.



Facebook Account Permanently Delete kaise karen.
Facebook Account Delete कैसे करे



Facebook Account Delete Kaise Kare, Permanently.


1). How To Delete Facebook Account Permanently?

Agar aap facebook account ko permanently (hamesha ke liye) delete karna chahte hai to  niche diye iss link par click kare-



Iske baad jo page khulega usme 'delete my account' par click kijiye.



ab aapka facebook account permanently delete ho jayega. aur aap apne uss facebook id ko kabhi dubara wapas nhi paa sakte.



>आपको 14 दिन का समय मिलता है. 14 days के अंदर फेसबुक डिलीट को कैंसिल भी कर सकते है.




Note- Delete me Account confirm karne baad apna facebook account dubara wapas pana chahte hai. ya facebook account ko delete hone se rokna chahte hai to aapke paas 14 days ka time hota hai. 14 din ke andar apne fb account me login kare. aur fir aapko ek cancel deletion ka ek option milega. cancel deletion par click karke facebook account ko delete hone se rok sakte hai.



इसे भी पढ़े-

*Facebook पर Friend Request बंद कैसे करें?

*FB ka Password कैसे पता करें (Reset Password)



FB Account Temporary Delete/Deactivate Karna

2). How To Delete Facebook Account Temporarily?

agar aap apne account ko kuchh samaya ke liye temporarily delete karne chahate hai. to inn steps ko follow kare.

Step.1- sabse pehale setting click kare.

Fb Account Delete Kare


Step.2- ek nya page khulega, usme security par click kare.

Facebook Account Delete Kaise Kare?


Step.3- fir niche 'Deactivate your account' ke saamne edit ke option par click kare. fir aapko  'Deactivate your account ka link open ho jayega. uss par click kare.

Step.4- iske baad aapko apne facebook account ka possword enter karna hoga.


Step.5- iske baad next page par facebook account deactivate karne ka karan choose karan hoga. kisi bhi option ko select kare fir deactivate ke option par click kare.

Iss tarah se apne facebook account ko temporary delete kiya ja sakta hai. Temporary delete karne ke baad aap chahen to baad me apna fb id recover bhi kar sakte hai.



Apne iss post me sikha ki facebook account ko permanently or temporarily delete kaise karen. Ye facebook account delete ya deactivate karne ka sabse aasan tarika hai. Muje ummid hai ki aapke liye ye jankari, facebook account delete kaise kare, jaroor helpful hogi. Agar aapka facebook id delete karne se related koi sawaal ho to niche comment karke puchh sakte hai.



Tags- facebook id delete option, facebook id block software. FB Account Delete Kaise Kare.
Facebook Account Delete Kaise Kare (Permanently) Facebook Account Delete Kaise Kare (Permanently) Reviewed by VK Singh on January 02, 2020 Rating: 5
Powered by Blogger.