बैंक में चेक कैसे जमा करे?

चेक जमा करने का तरीका : Kya aap janana chahte hai ki cheque se paise kaise nikale. Iss post me janenge ki bank me check kaise lagaye or check se paise kaise nikale. Agar aapke paas check hai aur aap uss check se paise nikalana chahte hai to aapko apna check bank me jama karna hoga. Check jama karne ka tarika kya hai aur check deposit slip bharke bank se paise kaise nikale. ye saari jankari aapko iss post me detail me diya jayega. Check se paisa nikalane ka neeche diya gya tin aasan steps hai. Jisko follow karke aap bahut aasani se check se paise nikal sakte hai.



चेक जमा करने का तरीका

Bank me check kaise lagaye. Apna cheque bank me deposit karne ke liye niche diye steps ko follow kare.

Step 1 - बैंक से 
Deposit Slip लें.
Sabse pahle apne bank branch me jaye aur deposit slip le lijiye.

Iske baad aapko deposit slip me saare details bharne honge. SBI bank ka Deposit slip kuchh iss tarh ka dikhata hai.


चेक जमा करने का तरीका

Image Credit: ifscpedia.com

Step 2- Deposit Slip में Details भरें
Alag alag bank ke deposit slip dikhane me thoda different ho sakte hai. Lekin sabhi bank ke deposit slip me lagbhag same details fill karna hota hai.

>Date : jis din check submit kar rhe hai uss din ka Date likhe.
>Branch: Bank branch ka naam likhen.

>Type of account:  Isme apna account type (saving a/c ya current a/c) likhna hai. 

>Account number: Apna bank account number likhe.

>Name: Bank account holder ka naam likhna hai.


>Total Deposit in the Account: jitne rupaye ka cheque hai uss amount ko likhe.

>Rupees in words : Jitne amount ka check hai wo amount ko words me likhna hai.

>Mobile number : Apna contact no likhna hota hai.

>Pan no: Pan card number bhi likhna hoga. 

>Signature of the depositer: Check bharne ke baad Aap apna signature kar dijiye.



Step.3 - Deposit Slip में डिटेल्स भरने के बाद बैंक में जमा करें 

Deposit Slip fill karne ke baad me slip ko bank me jama kar dena hai. deposit slip ke saath me aapko cheque bhi de dena hota hai. Iske baad bank employee aapko receipt de dega.

Bas aapko itna hi karna hai. Iss tarh se aap bank me check jama kar sakte hai. Check jama karne ke bad paise aapke khate me aa jayenge. Aur aap apne bank account se paise nikal sakte hai


इसे भी पढ़े-
*Bank चेक कैसे भरे

*Cancel Check क्या है, पूरी जानकारी


Aapne iss post me seekha ki bank me check kaise lagaye or check se paise kaise nikaleMujhe ummid hai ki cheque jama karne tarika aapko achhe se samajh me aa gya hoga. 



बैंक में चेक लगाने का तरीका।

सभी बैंको में चेक लगाने और पैसे निकलने का तरीका एक जैसा होता है. आपका अकाउंट जिस भी बैंक में हो आप वहां पर जाकर बैंक में चेक जमा कर सकते है.


सेल्फ चेक कैसे भरें?

अगर आप अपने बैंक अकाउंट से पैसे निकालने के लिए आप अपने ही बैंक अकाउंट के चेक बुक का उपयोग करते है, तो उसे सेल्फ चेक कहते है. इसमें pay के name बॉक्स में Self लिखना होता हैं.

Tags: चेक जमा करने का तरीका, check slip kaise bhare, cheque kaise jama kare, payment, fake, cheque bounce, leaf, bearer.
चेक जमा करने का तरीका: Cheque Se Paise Kaise Nikale? चेक जमा करने का तरीका: Cheque Se Paise Kaise Nikale? Reviewed by VK Singh on October 20, 2022 Rating: 5
Powered by Blogger.