Android Phone ka Speed badhane ke Tarika

Aaj mai aapko bataunga ki apne android mobile ki speed kaise badhaye. Agar aapka phone slow ho gya hai to aap apne phone ko fast kar sakte hai. Aapke android phone ke speed slow hone ka sabse bada karan ho sakta hai ki phone me storage space kam ho gya ho. isliye sabse jaroori baat yah hai ki apne phone ko slow hone se bachane ke liye paryapt internal storage space khaali rakhe. RAM par bhi aapke phone ka speed depend karta hai. isliye aapke phone me paryapt RAM bhi khaali hona chahiye.

Mobile ki speed slow ho jaane se aapka mobile hang hone lgta hai. agar aap apne mobile ke slow ho jaane se pareshan hai to main aapko kuch aise tarika ke baare me batane jaa rha hun jisase aap apne mobile ke speed ko bdsha sakte hai. 


Mobile की Speed कैसे बढ़ाये
Android Mobile को Fast कैसे करें


Android Mobile की  Speed कैसे बढ़ाये

(1) Faltu Files ko delete kare-  
apne mobile se unn files ko delete kaijiye jo aapke kisi kaam ke nhi hai. agar aapke phone ke internal storage me kuchh files aise hai jo aapke liye important hai. to usko aap kisi external memory card me save kar lijiye. kosish kijiye ki aapke phone me kam se kam 1GB tak internal memory free rahe.


(2) Cache Memory ko Clean kare- 
sabse pahale Setting me jaye. fir Storage me jaana hai. iske baad internal storage par click kijiye.

aapko cached data likha hua dikhega. bs uss Cached data ko delete kar dena. isase aapke android phone ki speed badh jayegi.

Setting > Storage > Internal Storage > Cached data



(3)Extra Apps ko uninstall kare-
Mobile me  bahut jyada app install hone ke wajah se bhi phone slow ho jata hai. jin app ka use nhi karte hai unko uninstall kar dijiye.



(4)Android Software Update kare
Setting > About phone > Software update me jaaye.
agar software update available hai to use update kar lijiye. Isase aapke phone ki speed fast ho jayegi.


(5) Storage & RAM ko Clean kare- 
apne phone ke smart manager me jakar storage aur  RAM ko clean kijiye. isase aapko android phone ki speed badhegi. 


(6) Auto synchronize off kare- 
Setting > accounts me jaye aur auto-sync data ko off kar dijiye.

kyoki jab bhi aapke phone me internet data ON hota hai, to Auto synchronize hota rahata hai. aur ye aapke mobile phone ke speed ko slow karta hai.


(7) Space Cleaner & Antivirus ka use kare- 
Apne phone se junk file  ko remove karne ke liye aap clean master App ka use kar sakte hai. yah aap space cleaner aur anti virus dono kaa kaam krta hai. Clean master ka use karke aap apne mobile ki speed ka badha sakte hai.



(8)Factory data reset karke-
Factory data reset karne se aapke mobile ke sabhi files aur data delete ho jayega. aapka phone ki setting bilkul naye phone ke jaisa ho jayega. 

Iasase aapka phone reset ho jata hai. aur aapke phone ka saare data delete ho jayega . isliye Factory data reset karne se pahale apne contact, important Apps, Messages, Pictures ka backup bana lijiye.
backup banane ke liye liye aap backup App ( Super Backup & Restore App ka use kar sakte hai. 




# How To do Factory Resetting ?

 Aur apne sabhi dusare Important files ko external memory me save kar lijiye.


# Factory Resetting ke liye Setting me jayen. fir 'Backup and Reset' par click kijiye. iske baad aapko 'Factory Data Reset' ka option dikh jayega.

Setting > Backup and Reset > Factory Data Reset

Iss tarh se aap apne mobile phone ko fast kar sakte hai.


Before Factory Data Resetting-
(i)Back up your contacts, important Apps, Messages, Pictures 

(ii)Save Important files in External memory Card.



Also Read:

*Photos से Video बनाने के लिए Top 6 Android Apps.

*मोबाइल में Photo Edit करने के लिए Top 7 Best Apps.




ab aapne jaan liya ki android phone ko Fast kaise kare. mujhe ummid hain ki aap inn tarika ka use karke apne android mobile phone ka speed jaroor badhaa payenge. agar aapka android phone ki speed badhane ke related koi sawaal ho to neeche comment kar sakte hai.

अगर आपका एंड्रॉयड मोबाइल slow हो गया है, तो अपना मोबाइल फ़ास्ट करने के लिए ये सभी ट्रिक्स आपके लिए useful साबित होगा।


Tags: How to speed up smart Phone, mobile ki speed kaise badhaye, mobile speed ko fast karne ka tarika.
Android Mobile की Speed कैसे बढ़ाये (8 तरीका) Android Mobile की Speed कैसे बढ़ाये (8 तरीका) Reviewed by VK Singh on June 29, 2020 Rating: 5
Powered by Blogger.