Web Page ko PDF File me Convert Kaise Karen.
Iss post me janenge ki kisi website post ko PDF me convert kaise kare. Aap kisi bhi page ka pdf file create karke apne computer me save kar sakte hai. Usko mobile or pc dono par aasani se offline pad sakte hai. usko padne ke liye internet connection ki koi jarurat nhi padegi. usko aasani se print bhi kar sakte hai.Webpage ko PDF me Convert Kaise Kare |
Website Post ko PDF me Convert Kaise Kare
1. Apne kisi achhe post ka pdf banaker usko blog visitors se download karne ke liye kahiye.jab we uss post ke pdf ko download karenge to unko aapka blog yaad rahega.
aur we aapke blog ko subscribe bhi kar sakte hai. aur dheere dheere apke blog ki traffic badegi.
2. unko pdf sharing sites (jaiseki- rapidshare.com, slideshare.com, 4shared.com, scribd.com, mediafire.com) par share karke apne blog ko promote kar sakte hai.
isase aapko backlinks bhi milega.
mai aapko 2 tarike bataunga jisake dwara aap website post/ page ko pdf me convert karke print bhi kar sakte hai.
Method 1-
1. jis bhi web page ko pdf file me convert karne chahte hai, usko kar lijiye. fir computer keyboard par ctrl aur P ko ek sath press kare.
2. jaisa ki aap uper ke screenshot photo me dekh sakte hai. yeha par print ka option aa jayega.
agar aap pdf me bane sabhi page ko print karna chahte hai to all ko select kiya rahne de.
yadi unme se kuchh page ko print karna chahte hai to niche ke box me unki mumber likhe.
3. destination me change par click kare.
4. ab ek page popup khulega usme save as pdf option par click karenge.
5.click karte hi save karne ka button aa jayega.
6. save ki option par click kare. apne computer ke usko jis bhi file me save karna chahte hai usko select kar lijiye.
ab dekhenge ki pura blogpost (webpage) ek achhe pdf file me badal jayega.
Method 2-
Website Post Link se PDF file kaise banaye
Iss tarika ka 2 fayda-
(1) isase text size ko chhota ya bada kar sakte hai.
(2) isame post se images ko hataya ja sakta hai.
agar aapke paas kisi post ka link hai , uss webpage ko bina open kiye pdf file me convert karne ke liye printfriendly.com ek achhi website hai.
1. jis bhi post ka pdf banana hai uske link ko copy kijiye. fir box me uske link (url) ko paste kijiye.
2. print preview button par click kare.
3. ab aapke saamne uss webpage ka pdf preview aa jayega.
uper ke pdf option par click kijiye.
4. download your pdf ka ek popup page aa jayega.
Uss par click karke use apne computer file me pdf ko save kar lijiye.
दोस्तों अब आप Webpage (Post) को pdf बनाना सीख गए है . आप इन दोनों तरीके से pdf आसानी से बना सकते है .अगर आपका कोई सवाल हो तो जरुर पूछे.
Tags: website post ko PDF me convert kaise kare.
Website Post ko PDF me Convert Kaise Kare
Reviewed by VK Singh
on
February 21, 2020
Rating: