घर बैठे English कैसे सीखे? English बोलें, लिखें, पढ़े.
Aaj aap janenge ki online ghar baithe english kaise seekhe. Agar aapko english bolna, likhana, padhana aata hai to aap usme improve kar sakte hai. Englsih yaa koi bhi language ko seekhane ke liye sabse jaroori hai ki aap uss language ko daily sunen or bolen (Listen & Speak). agar aap english improve karna yaa seekhana chahte hai to aapko daily Englsih sunana aur bolana hoga. English sunane se aapko samajh me aati hai ki Englsih kaise bola jaata hai. aur bolane se uski practise hoti hai. Main aapko 12 aise tarika ke baare me bataunga jisase aapka English seekhana aur improve karna aasan ho jayega.इंग्लिश Improve कैसे करें |
इंग्लिश Improve कैसे करें (बोलना, लिखना, पढ़ना)
Basic Rules To Learn English(i) Listen in English- aap daily english me koi audio, video ko sune. kisi bhi language ko seekhane ke liye usko sunana bahut jaroori hota hai.
(ii) Speak in English- English me bolane ki kosish kijiye. suru me mistakes honge lekin aap dheere dheere correct bolana seekh jayenge.
(iii) Write in English- agar aap english bolne aur padhane ke saath saath achhe se likhana bhi chahate hai to daily aapko iski practice karni hogi. aapko har roj thodi bahut english likhane ki aadat daalni chahiye.
12 Ways to Learn English at Home? घर बैठे English कैसे सीखे?
1. Best Android Apps to learn english-
Kuchh aise Android Apps hai jo aapko English seekhane me bahut help kar sakte hai. jaise-
(i) Hello English: Learn English
(ii)English Conversation Practice
(iii) VoLT - Vocabulary Learning
Aap iss tarh ke English Learing mobile apps ka use English seekhane ke liye kar sakte hai.
2. English seekhane ke liye youtube ka use -
Youtube par aapko bahut se English seekhane waale channel jayenge. jinse aap englsih aasani se seekh sakte hai. aap apne pasand ka koi channel choose kar lijiye.
kuchh achhe english seekhane waale youtube channel ko follow kijiye. aap apne hisaab se dekh lijiye ki aapke liye kaun sa channel best hai. Iske alaawa english seekhane ke liye koi bhi Youtube par video search karke english seekh sakte hai.
3.Improve Vocabulary -
Agar aapka English vocabulary achha hai to aap English me sab kuchh aasani se samajh sakte hai. aur Englsih bolana bhi aapke Easy ho jayega. isliye apne English Vocabulary ko Improve karna bahut jaroori hai.
Jo bhi word seekhate ho uska antonyms aur synonyms bhi seekhaye. Aapko apni vocab ko sudharane ke liye English padhane ki aadat daalna hoga. jaise English Newspaper, English magzene, English Novel etc. Jo bhi aapka interest ho usko padhiye. isase aapka Vocabulary improve ho jayegi.
Daily kam se kam 10 words seekhiye. aur usko kisi notebook me likhakar rakhiye. unn words ko samay samay par revise karna bhi jaroori hai.
4.Word Power Made Easy-
Agar aap apna English vocabulary Improve krna chahte hai to ye book aapke liye hai. Iss book se aapka vocabulary sudharane me kafi help milega. Isase aap englsih ke bahut se important root words seekh payenge, agar aap kisi competition ke preperation kar rahe hai to 'Word Power Made Easy' aapke kafi important ho jata hai.
5.Watch English Movies/ TV Show-
Apni english ko improve karne ke liye sabse achha tarika hai ki aap english me serials or movies dekhe. isase aapka spoken english bahut achha ho jayega. aur aap achhe se english bolna seekh jayenge. agar aapko shuru me koi dikkat ho rahi hai to aap subtitle ka bhi use ka sakte hai.
6.Listen English Songs-
Englsih songs sunana aapki english ko kafi improve kar sakta hai. English songs sunane se aapka dimak English me sochane lagata hai. agar aapko English songs samjhane me koi problem ho rahi hai to aap sabse pahale uss songs ka lyrics padh ljiye. aur fir song suniye.
yaa fir songs saunane ke saath saath uska lyrics bhi padhate rahiye. isase aapko english songs aasani se samajh me aa jayigi. agar aap englsih songs daily sunate hai to aapki english jaroor achha ho jayegi.
7.Read English Stories/ Newspaper/Magazine-
Koi bhi language ko achhe se samajhane aur seekhane ke liye jaroori hota hai ki aap language ko padhe. English ko improve karne ke liye aapko daily English me kuchh pdhana chahiye. jaise aap English Stories, Newspaper yaa koi english magazine padh sakte hai. Isase aapki Vocabulary achhi ho jayegi.
8.English Speaking (Talk to yourself )-
Achhe se English bolana seekhane ke liye English Speaking Bahut jaroori hoti hai. Agar aapse Englsih me koi baat karne waala nhi hai to aap khud se english me baat kar sakte hjai. bahut se logo ko khud se baat (Self talk) karne ki aadat hoti hai.
Self talk aapko life ke kai important decision lene me madad karti hai. Iske alaawa ye English seekhane me bhi aapki kafi help kar sakti hai. Jab aap akele me ho to aap khud se English me baat karne ki kosish kijiye.
9.Think In English-
Ab se aap iss baat par dhyaan dijiye ki aapko jab bhi kuch sochana ho to aap English me hi sochenge. Aap thodi conscious Efforts se apni English me sochane ki aadat daal sakte hai. English me sochana, aapko English me bolane me bahut help karegi.
10. Use a mirror-
Aap apne English speaking ko improve karne ke liye mirror ka use kijiye. Daily thode samay ke liye mirror ke saamne khade hokar kisi bhi topic par bolana shuru kar dijiye. bolte samay bilkul mat rookiye.
Agar aapko aage kuchh samajh me nhi aa rha hai to bhi bolte rahiye. bolte samay apni facial expression aur body language ko observe kijiye. Aisa feel kijiye jaise aap kisi dusare person ke saath kisi topic par baat kar rahe hai.
11. Listen & repeat-
Jab bhi aap apne phone yaa laptop par koi speech sune yaa English Movies, TV show dekhen to unko line by line repeat kijiye. Iss technique ko 'learn by repetition' kahate hai. yah technique aapko sahi se English bolane aur coorect pronunciation seekhane me bahut help karegi.
12. Fake It, Till Make It-
Ye bahut hi famous line hai. jisko aap apne English Seekhane ke liye use kar sakte hai. aap Aap aisa maniye ki aapko English bolana achhe se aata hai. jab bhi kisi ke saamane English bolana ho to pure confident ke saath boliye. kuchh Mistakesb bhi hogi, But don't worry. Agar aapke andar English bolane ki confident hai, to saare mistakes apne aap dheere dheere dur ho jayenge.
Also Read:
*Correct English लिखने के लिए best software की जानकारी.
*इंग्लिश सिखने के लिए टॉप 10 Mobile Apps
Mujhe ummid hai ki aapko ye post 'English bolana, pdhana or likhana kaise seekhe pasand useful hogi. mujhe poora biswaas hai ki agar aap inn techniques ko apnate hai to pakaa aap fluently
English bolna seekh jayenge.
Tags: English कैसे सीखे, English Bolen, Likhen, English Improve kaise Kare, How to learn English in hindi.
इंग्लिश Improve कैसे करें (बोलना, लिखना, पढ़ना)
Reviewed by VK Singh
on
January 20, 2020
Rating: