Gmail account ko hamesha ke liye delete kaise kare [Hindi]
Iss post me janenge ki apna gmail account delete kaise kare. Gmail ek free email service hai, jise google ke dwara develop kiya gya hai. Agar aapke pas gmail account hai to aap kisi ko email send kar sakte hai. Jab kabhi hamare pas ek se jyada gmail Id hote hai. aur hum extra gmail Id's ko permanently delete karna chate hai. Gmail id delete karne ke reason chahe kuchh bhi ho, aap apne gmail account ko hamesha ke liye simple steps me delete kar sakte hai. Gmail ko delete karna bilkul hard nhi hai. Bas sirf kuch clicks me apna gmail account hamesha ke liye bad kar sakte hai. Agar aap apne email account ko permanently delete karna chahte hai to ye post aapke liye useful hai. Chaliye ab jante hai ki gmail account ko hamesha ke liye delete kaise kare.
[In this post you will learn about how to delete or remove gmail account permanently. If you want to delete your extra email account, just follow steps given below]
Gmail Account Delete Kaise Kare?
Gmail account ko hamesha ke liye delete kaise kare.1. Sabse pahle https://myaccount.google.com/ ko open kar lijiye.
2. 'Data and Personalization' select kare. Fir scroll down kare. Iske baad Download, delete, or make a plan for your data ka ek section dikhega.
'Delete a service or your account' option par click kare.
3. iske baad 'Delete a Service' ke link par click kijiye.
4. Apna gmail account me sign in karen, jise aap delete karna chahte hai. Gmail password ko enter karen aur fir 'Next' par click karen.
5. Gmail ke samne Delete icon par click kare.
6). iske bad gmail aapse deletion ko confirm karne ke liye bolega. aur fir aap apna gmail Id delete kar sakte hai.
Agar aap chahe to apna Google plus or Youtube account bhi hamesha ke liye delete kar sakte hai. iss tarh se aap apne gmail account ko permanently delete kar sakte hai.
इसे भी पढ़े-
*1 Second me Temporary Email Kaise Banaye?
*Gmail Ko Offline Kaise Use Kare ?
Ab aapne seekh liya ki gmail account delete kaise kare. Ye delete karne ka process permanently gmail id ko deactivate kar dega. Aap dubara se wapas recover nhi kar sakenge. How to cancel Gmail Account Permanently?
Tags: Email id, gmail account delete kaise kare, gmail id delete kaise kare, gmail account remove kaise.
Gmail Account Delete Kaise Kare (Permanent)
Reviewed by VK Singh
on
April 13, 2020
Rating: