Facebook ka password kaise change kare? [Hindi]

Iss post me janenge ki Facebook ka Password kaise pata kare. Fb password forget hone par usko change karke new password set kar sakte hai. Hum sabhi log fb ka use apne friends, relative se connect hone ke liye karte hai. Kyoki facebook ek bahut badi social networking site hai. jisase apne purane friends, aur jaan pahchan ke logo se juda ja sakta hai. Aise me agar aap kabhi apna fb password bhul jaye to ghabrane ya pareshan hone ki jarurat nhi hai. Apna FB password bhul jane par 'forget password' karke fb password pta kar sakte hai or dubara reset kar sakenge. Aapko ek aise tarika ke bare me jankari diya jayega jisase aap apna facebook password chage kar sakte hai or koi new password set kar sakte hai. 

Agar kabhi facebook password bhul jaye to relax kijiye or tension bilkul mat lijiye. Aap bahut aasani se apna facebook password pata kar sakte hai. aap chahe to apna apna facebook account ko apne email ID se ya mobile number se reset kar sakte hai. Facebook Password reset karne ka tarika detail me diya ja rha hai.


Facebook (FB) Password Kaise Pata Kare? Reset Karna

Apna facebook (fb) password kaise pata kare. isko janane ke liye neeche step by step process diya gya hai.


Steps to Reset Facebook Password

1. Sabse pahale aap facebook ke login wale page open kar lijiye. 
iske baad "Forgotten account?" (Forgot your password?) par click kare.

2. Next page par aapko apna 'Email address' ya 'Phone Number' enter karne ke liye bolega.



3. Email Address yaa Phone Number dono me se koi bhi enter kar sakte hai. mai yahan Email address enter karunga or email Address se aapko apna fb password reset karne ka tarika bataunga. 

Email ID enter karne ke bad 'Search' button par click kijiye.


4. Iske bad next page par aapko 3 options milenge. (i)Use Google account (ii)Send code via email (iii) Send Code via SMS.


Aap apna facebook password reset karne ke liye inme se koi bhi option select kar sakte hai. 

5. Mai aapko yahan par 'Send code via email' or 'Send code via SMS' se password reset karna bataunga.



Email ka use karke facebook password reset karna.

Send code via email-
1. agar aap apna facebook password, email se reset karna chahte hai to 'Send code via email' wale option ko select kar lijiye.


2. Fir 'continue' wale option par click kijiye. isake bad facebook aapke email par Code send karega. jisase aap apna facebook password ko reset kar sakte hai.


3. Aap email me diye code ko facebook code wale page par enter karke apna nya facebook password set kar sakte hai.


Iss tarh se aap bahut aasani se apna facebook account recover kar payenge.


________________________________________

Agar aap chahe to apne Mobile se bhi facebook password reset kar sakte hai. isase code aapke mobile number par jayega.


Send code via SMS
1. Iske liye 'Send code via SMS' option ko select kar kijiye. aur fir continue button par click kijiye.

2. Iske baad aapke mobile par ek code aayega. uss code ko facebook code wale page me enter kijiye. Aur fir aap apna facebook password reset kar sakte hai.




Ab aapne seekh liya ki liya ki facebook ka password kaise change kare, or FB ka Password kaise pata kare. Agar facebook password bhool jaye to maloom karne ke liye kya kare. Kabhi bhi facebook password forget hone par aap bahut aasani se new password reset kar sakte hai.


Tags: FB Password kaise pata kare, facebook password change karne ka tarika, fb ka password kaise dekhe, fb password forget, facebook password check kaise kare, facebook password maloom karne ka tarika.
Facebook Password Kaise Pata Kare? Facebook Password Kaise Pata Kare? Reviewed by VK Singh on January 20, 2023 Rating: 5
Powered by Blogger.