pdf ko word me convert karne ka tarika.
How to Convert PDF to Word Document? [Hindi]
Iss post me janenge ki kisi PDF file ko word me convert kaise kare. Hum sabhi apne mobile, computer me pdf file ka use karte hai. Iska full form 'Portable Document format' hota hai. Kisi bhi text file, photo, word ko pdf me convert karne se usko padhana aasan ho jata hai. Lekin pdf ko edit karna thoda mushkil hota hai. Pdf ko word me convert karne ke baad kisi bhi pdf ko bahut aasani se edit kar sakte hai. Aapko ye jankar achha lagega ki PDF file ko word document me convert karne ka tarika bahut easy hai.
PDF ko word file me change karne ke liye bahut se online website maujud hai. kuchh aise websites ki list niche diya gya hai jinse aap kisi bhi pdf file ko word document me aasani se change kar sakte hai. pdf to word file convert karne ke liye inn sabhi website ka use karna bilkul free hai. Chaliye iss post me step by step jante hai ki kisi pdf ko word me convert kaise kare.
PDF File ko Word me Convert Kaise Kare?
1. htmlpublish.com
Sabse pahle uper diye website link ko apne browser me open kijiye. Iss website me 'PDF ko word' and 'word to pdf' dono features hai.
pdf ko word file me change karne ke liye 'PDF to Word' select kar lijiye. Niche ke iss screenshot me dekh sakte hai.
Iske baad next page par Download button par click karke word document ko download kar sakte hai.
# pdf ko word document me convert karne ke alaawa aap chahe to kisi word document ko pdf me bhi badal sakte hai. ye dono service bilkul free hai.
2. pdf2doc.com
Aapko iss website me bahut se feature milte hai. jaise pdf to doc, pdf to docx, pdf to text, pdf to jpg, pdf to png, xps to pdf, pdf compressor, combine pdf, jpg to pdf, any to pdf etc. Kisi pdf file to word me bahut easily change kiya ja sakta hai. Isase aap kisi pdf file ke size ko kam bhi kar sakte hai.
3. pdfonline.com
Ye website bilkul 'htmlpdf website' jaisa hai. isase aap 'PDF ko word' document ya 'word to pdf ' me easily change kar sakte hai.
4. freepdfconvert.com/pdf-word
Ye bhi PDF ko document me convert karne ke liye achha website hai. Aur isme kuchh khas feature bhi hai, aap iase pdf ko power point, pdf to excel me bhi change hai.
5. hipdf.com
PDF file ko word me convert karne 'PDF to Word' select karen. Iske baad aap Choose file option par click karen.
Word File ko PDF me Convert Kaise Kare?
Kai baar hume Word files ko pdf me convert krne ki jarurat hoti hai. Word ko pdf me convert krne ke liye kai online tools or websites uplabdh hai. Docufreezer bhi ek aisa hi website hai jiske madad se word file ko pdf me convert kr sakte hai. Word file me content ko edit karna yaa text formatting aasan hota hai. Agar aap document me koi change ya edit nhi krna hai to pdf file bahut user friendly hota hai. aap pdf file ko aasani se apne mobile ya laptop par padh sakte hai.
Read-
Aapne dekha ki kisi pdf ko word me convert karne ka tarika kitna aasaan hai. internet par bahut se aise online website maujud hai jo aapko pdf to word me convert karne me madad kar sakte hai. Ab agali bar jab bhi aapko pdf to word convert karne ki jarurat ho to inme se kisi webiste par visit kijiye. pdf file ko upload karke single click se word file create kar sakte hai. Ab aapne seekh liya ki pdf file ko word me convert kaise kare. Agar aapka koi sawaal ho to neeche comment kar sakte hai.
Tags: pdf to word convert karne ka tarika, pdf ko word file kaise banaye.
PDF ko Word File me Convert Kaise Kare?
Reviewed by VK Singh
on
June 06, 2023
Rating: