How to Backup Android Phone? [Hindi]

Android Phone ka Full Backup Lene ka Tarika.
Aaj aap janenge ki apne android mobile ka full back kaise lete hai. Agar aap android user hai to aapko jaroor pata hona chahiye ki apne android phone ka backup kaise banaye. Agar kabhi aapke phone me koi problem aa gayi to aapke phone ke saare data or files delete ho sakti hai. agar aapke paas aapke phone ka backup hai to aap fir se apne phone ke sabhi data jaise Apps, Contact, SMS, call logs, bookmarks ko recover kar sakte hai. Iss post me main aapko 2 aise tarika ke baare me bataunga jisase aap apne mobile ke sabhi data jaise Apps, Contact, SMS, call logs, bookmarks etc ka backup bana sakte hai. mobile data backup kaise kare, phone backup kaise kare.

Mobile ka Backup Kaise Lete hai?

Google Drive me Back kaise banaye.  

1. Apne phone ke Setting me jaye.  'Backup and Reset' ke option par click kijiye.
i.e. Setting >> 'Backup and Reset'

2. iske baad 'backup my data' par click kijiye. aur fir 'back up my data' ko enable (ON) kar dena hai.


3. Backup Account me apne uss google drive account (Email Id) ko select kijiye jisme aap backup banana chahte hai.

4. Isase aapka backup files automatically google drive me save ho jayega.


How to Restore Data From Google Drive?

Apps ke data or setting ko restore karne ke liye 'Automatic restore' ke option ko enable kar dijiye.

Method.2
Using Backup App-  Super Backup & Restore
aap backup app ka use karke bhi apne phone ka backup le sakte hai. aapko bahut se backup app mil jayenge. lekin main Super backup app ka use karta hai. Ye app use karne me bahut aasan hai aur Free bhi.

Phone ka backup kaise le?
1. Sabse pahale aap apne phone me playstore se 'Super Backup & Restore' app ko install kar lijiye.

2. iske baad 'Super Backup' App ko open karen.

3. aapko kuchh option dikhenge jaise Apps, Contacts, SMS, Pictures etc.. aap jinka backup lena chahte hai unn sabhi par baari baari se click karke backup file bana lijiye. 


4. Iss backup application se jo bhi backup file banayenge wo sabhi aapke phone ke file manager me save ho jayenge. 


Iske alaawa 'G Cloud Backup' bhi ek achha backup app hai jisase aap apne android phone ka full backup le sakte hai.

Apne iss post me seekha ki apne android phone ka Full backup kaise lete hai. aap inn dono tarika me kisi ka bhi use karke apne phone ka complete backup le sakte hai. Agar aapko mobile data ka backup lene se related koi sawaal yaa confusion ho to aap niche comment kar sakte hai.


Tags: Backup lene ka tarika, mobile data backup kaise kare, phone ka backup kaise le.
Android Mobile ka Backup Kaise Le? Android Mobile ka Backup Kaise Le? Reviewed by VK Singh on January 21, 2023 Rating: 5
Powered by Blogger.