Photo Edit Kaise Karte Hai?

Photo ya image editing ek process hai jisme hum photo me kisi bhi tarh ka change karte hain. ya photo me kuchh new effects dalte hain. Kai log search karte hai ki online google se photo edit kaise kare. Agar aapko photo edit karna hai to iske liye ek best photo editing tool (website) ke baare me jankari diya jayega jisase aap apna photo or image ko online edit kar sakte hai. Isase photo ko edit karna bahut aasan ho jayega. waise aapko internet par bahut se website mil jayenge jisase aap online photo edit kar sakte hai. maine bhi photo or image edit karne ke liye aise kai website / tool ko try kiya. lekin jo website mujhe sabse jyada pasand hai uska naam hai- befunky.com

Chaliye jante hai ki befunky website se apna photo edit kaise karte hai. Befunky photo editing ke liye ek accha website hai. Agar aap iss website par chale gaye to iske behatarin features aapko jaroor pasand aayenge. iss website me photo editing ke liye bahut hi majedaar aur kaam ke features hai, jo isko bahut useful bana deta hai. sabse achhi baat yeh hai ki befunky.com ko use karna bahut hi aasan hai or ye bilkul free hai.

Online Photo Edit Kaise Kare (Photo Editor)

Photo editing steps
1. Sabse pehale befunky.com ki website par jaye.

2. iss website me aapko 3 option milenge- photo editors, Collage makers & designer

(i) Photo Editors- yeh option single photo edit karne ke liye use hota hai.

(ii) Collage Maker- isase aap multiple i.e. ek saath kai photo edit kar sakte hai.

(iii) Designer- isme aapko bahut photo editing template & tool mil jayenge. jisase aap apne photo ko bahut attractive bana sakte hai.



3. photo edit karne ke liye sabse pehale apne PC file se kisi photo ko upload kar le. 


4. Iske baad apne pasand ka koi bhi effects image me daalkar usko edit kijiye. 

5. Iss website me aapko bahut se effects jaise photo crop karna, photo ki size kama yaa jyada karna, photo ki color change karna, rotate karna, photo cut karna karna, jaise bahut se feature diye gaye hai.

6. Aap kai photo ko ek saath merge (join) bhi kar sakte hai. iske alawa aap image me simple/stylish text bhi daal sakte hai.

7. Iss tool se photo me jo chahe wo likh sakte hai, jaisa chahe waisa effects daal sakte hai. aap iske kuchh effects icon ko screenshot me dekh sakte hai. 


Aap Befunky website par jakar khud se bhi iska use karna aasani se sikh sakte hai. Aur apne photo ko online edit karke jyada khubsurat bana sakte hai.



Ab apne jaan liya online image ya photo edit kaise karte hain. Befunky.com ek best image editing online tool hai. iss website ke help se aap kisi photo ko edit karke usko achha look de sakte hai. Internet par bahut se dusare photo editing tool hai. lekin befunky dusare tools ke compare me photo edit karne ke liye kafi accha hai.



iske alawa aur bhi kai top photo editing website hai. agar aap aur duasre achhe photo editing website ke baare me janana chahte hai to niche comment karke puchh sakte hai.


Tags: image edit kaise kare, photo editing kaise karen, photo edit karna, photo ki color change karna, text likhana.
Online Photo Edit Kaise Kare? Online Photo Edit Kaise Kare? Reviewed by VK Singh on June 06, 2023 Rating: 5
Powered by Blogger.