Photo ka Size Kaise Kam Kare?

Iss post me janenge ki kisi png, jpg file ya photo ka size kaise kam kare. Agar aapko online photo ka size kam karna hai to aapko iska ek aasan tarika ki jankari dunga. Kabhi kabhi hume apne photo ki size kam karne ki jarurat hoti hai. Jab kabhi koi online form fill karte hai to bhi image size reduce karna pdta hai. Iske alawa agar aap ek blogger hai to aap jante hi honge ki blog post ke liye image kitna jaruri hota hai. lekin agar hum apne blog par bahut jyada png or jpg file use karte hai to humare blog ki load time badh jata hai. iska matlab ki website slow load hoga. aur website ki speed kam hogi. Perfect SEO ke liye blog ki achha speed bahut jaruri hota hai. iss samsya ko dur karne ke liye Aap jo image use kare uske size ko reduce ( kam ) kar de.  iske liye online image compressor tools/websites ka istemaal kar sakte hai. Chaliye jante hai ki photo or jpg file ka size kaise kam kare.



Photo ka Size Kaise Kam Kare Online?

Image or jpg file ki size kam karna.

1. Tiny Png - tinypng.com

2. Tiny JPG- tinyjpg.com

Inn website ko open karne par upload ka symbol dikhega. uss par click karke apne computer file se uss jpg/png photo or image ko select kar le jiske size ko compress yaa kam karna chahte hai.



Jaise hi aap image ko select kar lenge,  image turant automatically compress hona suru ho jayega. aap uper screenshot me dekh sakte hai ki 117.2 KB ka image compress hoker 62.3 KB ka ho gya  i.e 47% image ka size kam ho gya.

jab image compress ho jayega to uske saame bane download ke option par click karke compressed/ reduced image ko download kar lijiye (uper ke screenshot me dekhe).


iss tool ka use karne se image ki size to kam ho jati hai lekin image quality par koi khash fark nhi padhata hai.



Some More website to reduce image size- 

agar aapko image ke quality ki chinta nhi hai. aur image ke size jyada se jyada compress karke kam karna chahte hai to niche diye gaye inn dono tools ka use kar sakte hai.

1. compressnow.com

2. optimizilla.com



Inse aap image ko jitna chahe utna compress kar sakte hai. lekin image quality kam ho jayegi.

Aapne jaan liya ki image ko kaise compress kiya jata hai. or photo ka size kaise kam kare. Agar aap blogger hai apne blog par image ko add karne se pehale uske size ko kam kar lena chahiye. isase aapke blog ki speed achhi bani rahegi.


Tags: photo ki size kam karna online, jpg file ka size kaise kam kare, image size kam karna, photo ka size kaise kam kare online.
Photo ka Size Kaise Kam Kare? Photo ka Size Kaise Kam Kare? Reviewed by VK Singh on January 20, 2023 Rating: 5
Powered by Blogger.