Online Image Editing Kaise kare? [Hindi]
Iss post me online photo banana or online photo edit karne ke websites or tarika ki jankari diya jayega. Aap apne photo ya image ko khud se mobile phone par online edit kar sakte hai. Agar aapko online photos ke background, color change karna ya koi new effects dalna seekhana hai to ye post aapke liye useful hai. Aaj mai aapko best popular photo, image editing website ke bare me bataunga jisase aap online photo edit kar sakte hai. kisi bhi photo/image editing tool ka use karne ke liye aapko thodi knowledge ki jarurat padhati hai, jisase aap image ko aur jyada attractive bana sake. Iske liye aap niche bataye websites ko visit karke khud se sikh sakte hai. online photo kaise banaye.
Online Photo Edit करने के Top 7 वेबसाइट
Image editing karne ka tarika or online photo banana jyada mushkil nhi hota hai. Iske liye kuchh achhe website or software uplabdh hote hai. Sirf hume iski shi jankari honi chahiye.
1. Pixlr.com
Yeh free online tool hai jisase aap photo me select, cut, crop, color effect kar sakte hai.
Iske liye aap iss website par jaye fir image ko drag karke usko aasani se edit kar sakte hai. aap apne pasand se image ko jaisa chahe waisa attractive bana sakte hai.
2. iPiccy.com
yeh ek popular free online photo editing tool hai. isame photo nedit karne ke liye account aapko banana padta hai. isase photo ko cut, select, crop, color effects daal sakte hai.
3. PhotoCat.com
yeh bhi bahut popular photo editing website hai. jisase aap photo ki brightness, color, bahut se light effect create kar sakte hai.
4. Pho.to
Pho.to bhi ek achha photo editing site hai. isase aap kisi bhi photo ko turant edit kar sakte hai. isame bahut se simple lekin bahut useful tools hai jo editing ko aasan bana dete hai.
5.FreeOnlinePhotoEditor.com
FreeOnlinePhotoEditor ek bahut hi popular aur useful website hai. jis photo ko edit karna hai, usko import kare. fir usme apne pasand ka koi bhi effect daal sakte hai.
6. Fotor.com-
yeh bhi bahut achha photo editing tool hai jiska use karna bahut aasan hai. apne computer se file/photo ko upload karne ke baad usme apne pasand ke effects, color daal sakte hai.
7. PhotoFunia.com-
PhotoFunia.com bhi ek badhiya online photo editing tool hai. isame filters, clip art, light effects, funny faces, inbuilt frame jaise bahut hi achhe features hai.
iss post me aapne kuchh popular best photo editing websites or online photo sunder banane ke baare me jaana. agar aap kisi aur achhe photo editing sites ke baare me jante hai to niche comment karke jarur bataye.
Tags: photo edit kaise kare, online photo kaise banaye, background change karna, photo banane ka tarika.