Correct & Error Free English kaise likhe ?

Bina koi mistake kiye sahi English Likhne ka Tarika ki jankari.
Aaj aap janenge ki correct English kaise likhe. Agar aap correct English likhne ka tarika janana chahte hai to aap online software ke help se bina kisi mistake ke perfect English likh sakte hai. Mai aapko ek aise online software, tool ke baare me jankari dunga jisase aap bilkul aasni se correct english likh sakte hai. aap sikhenge ki perfect english kaise likh sakte hai. niche bataye gaye iss tool ke help se aap bina kisi galti ya mistake kiye correct english likh payenge. Grammarly software ke help se aap online Correct English grammer or spelling ke sath perfect english likh sakte hai.




Correct इंग्लिश कैसे लिखे, Correct English Likhne ka Tarika


Grammarly ek aisa free online tool hai jo aapko sahi English likhane me madad karti hai.

Grammarly use karne par aapke english likhane me koi bhi Grammer yaa spelling mistakes nhi hogi. iss tool se aapko maloom chal jayega ki kaha kaha mistakes hai. aur weha sahi kya hona chahiye.

agar english likhate samay koi bhi spelling yaa grammer me galti hogi to grammarly aapko turant bata dega ki aapne kaha galati ki hai. aur weha par kya hona chahiye. grammarly aapko sahi words & sahi sentence ki jankari de deta hai.   isase aap apna kiya huya galti sudhar lenge.



Grammarly को कहाँ -कहाँ use कर सकते है ?

Grammarly ek aisa online tool hai jiske madad se aap ekdam sahi english likh sakte hai. Grammerly tool internet par sab jagah kaam krta hai. internet par aap kahi bhi jaise facebook, twitter, LinkedIn,
gmail etc. pe sahi eglish likh sakte hai.

agar aapke paas pehale se likha hua koi article yaa posts hai to aap usko bhi grammarly me upload karke apne sabhi mistakes ko correct kar sakte hai. 




अपने ब्राउज़र में Grammarly एक्सटेंशन install करे और सही इंग्लिश लिखे : 

Use Grammarly Chrome extension To write Correct English-

Grammarly  ke aasan use ke liye iska chrome extension ko apne chrome browser me install kar sakte hai




Steps-
1. Sabse pehale niche diye 'Add Grammarly For Chrome' link par click kijiye.





2. Iske baad ek page open hoga. usme Add To Chrome button par click kijiye. (niche screenshot me dekhe)



correct engliah kaise likhe


3. fir ek popup open ho jayega. usme add extension link par click kijiye.




write correct english

4. 5 - 10 second tak wait kijiye. Grammarly extension aapke Chrome browser me add (install) ho jayega. 


5. ab aapke browser ke url bar (search box ) ke right side me iska icon ban jayega. 

online engliah likhana


6. ab jab bhi aap online kuchh engish me likhenge. ko koi bhi mistake hone grammarly tool usko underline kar deta hai. uss par aap click karke sahi kar payenge. Isase correct english likh sakte hai.

7.  ab jab aap pure internet par kahi bhi (jaise facebook, gmail,
 twitter, LinkedIn, blogger etc) jab koi post likhenge to Grammarly ka icon Post ke line (sentence) ke saamane gol - gol ghumane lagega.    
aur turant aapko bata dega ki aapne kaha galti kiya hai. aur weha sahi kya hona chahiye.



Grammarly me Sign Up karna : Free

1. Grammarly extension icon par click karke aap signup kar sakte hai. 


Note: 
(i) Aap bina sign kiye bhi Grammarly extension  use kar sakte hai. jaise hi iske apne chrome browser me install karte hai to ye turant active ho jata hai.
aur jab aap internet par kahi bhi kuchh bhi likhate hai to ye aapka mistake catch karne lagta hai. aur aap unn mistakes ko sudhar sakte hai.


(ii) jyada better experience or iske pure feature ka use karne ke liye aapko isme signup kar lena chahiye & niche diye steps ko puri tarh se follow kijiye.

 

2. Grammarly extension icon par click kare. fir facebook yaa email id se signup kar lijiye.


3. Signup karne ke baad aapk koi grammarly editor kuchh hi second me load ho jayega. 


4. Fir New / upload button par click kijiye.


perfect english likhane ka tarika


5. ab jo page open hoga usme apna koi article / post ko likhe.  isase aapko maloom chal jayega ki kaha kaha mistakes hai. aur weha sahi kya hona chahiye.



6.  kisi pehale se likhe huye articles me grammer mistakes check karne ke liye upload a file par click kare.

Correct english kaise Likhate hai


File upload karne baad check your text par click kare.



Conclusion :  Grammarly, English likhane ki ek best free online tool hai. iske website yaa extension me se kis ka use karke  aap online perfect or correct english likh sakte hai. 

agar aapka koi sawaal ho to aap niche comment kar puchh sakte hai.



Tags: Sahi english likhana, english likhne ka tarika, correct english kaise likhe, online english kaise sikhe, english likhna kaise sikhe, perfect english likhane ka tarika, how to write correct english in hindi
Correct इंग्लिश कैसे लिखे (English Likhne ka Tarika) Correct इंग्लिश कैसे लिखे (English Likhne ka Tarika) Reviewed by VK Singh on November 04, 2022 Rating: 5
Powered by Blogger.